BACK TO LIST
25/05/2022

COMMON FEATURES

Rank System Optimization

"Ranked modes mein shandar larai karnay walon kay liye shabashi aur aik bara surprise! Iss patch mein, hum ap kay liye la rahay hain aik upgraded rank system, jo aik bilkul naya interface, Exchange Store mein mukhtalif tarhan kay rank inaamat aur prizes, apnay rank ki kamyabiyon ko dikhanay kay mukhtalif naye tareeqay, aur iss kay ilawa mazeed Rozana kay Challenges."

Rank reward upgrades:
    - Platinum aur Diamond ranks kay liye Time-limited Epic rarity weapon skins
    - Battle Royale aur Clash Squad mein Heroic aur Master ranks kay liye khasoosi emotes.
    - Exchange store mein har patch kay liye khasoosi outfit.
    - Season kay inaamat aur rank-up inaamat ko merge kar diya gaya hai, jo kay aik makhsoos tadad mein match khel kar hasil kiya ja sakte hain.

Overall rank system updates:
    - Naya interface.
    - Rank-up animations ko upgrade kiya gaya.
    - Master rank kay liye aik khasoosi, shandaar nishan introduce karwaya ja raha hai.
    - Players kay rank ki maloomat ab lobby mein zyada nomaya hai.

BR-Ranked mein tabdeeliyan:
    - Heroic rank, rank progress ko indicate karnay kay liye 1-5 stars display karay ga.
    - Daily Challenge mein ab 3 BR-Ranked walay tasks hon ge jin ki kafi variety hai.
 

 

Character

 

Reworks

 

 

Wolfrahh

 

Skill ko trigger karnay ki difficulty ko kam kiya. Dushmanon ko headshot se honay walay nuqsan mein izafa

“Headshots se Limelight kay 30% nuqsan mein kami ko trigger karna mushkil tha, kyunkay larai kay doran iss ki conditions ko pura karna mushkil tha. Iss patch mein, hum ne spectators ki matlooba tadaad ko 6 se kam kar ke aur limbs kay barhtay hoye nuqsan ko headshots se badal kar skill ki trigger condition ko kam kiya. Apni audience kay liye aik acha show paish karna yaad rakhein!”

 

 

 

Limelight:

 

Har elimination se aik spectator ka izafa ho ga, aur spectators ki tadaad kam nahi ho gi. Har izafi spectator kay sath, headshot se honay wala nuqsan 2/3/4/6/8/10% (zyada se zyada 20/22/24/26/28/30%) kam ho jata hai aur headshots se dushmanon ko pohanchne wala nuqsan 2/3/4/6/8/10% (zyada se zyada 20/22/24/26/28/30%) barh jata hai.

 

 

 

Dimitri

 

Skill kay liye behtar user experience.

"Healing Heartbeat ka istemal karty hoye self-recover karna teammate revivals se bilkul mukhtalif tajarba raha hai. Healing Heartbeat ka istemal karty hoye, koi bhi accidental movement self-recover ko rok de ga jab kay ap ka HP abhi bhi kam ho raha hai. Iss ne kafi players ko kamyaabi se self-recover karnay se rok diya hai. Hum ne Dimitri ki skill ko upgrade karnay ka faisla kiya hai taakay iss ka istemal bilkul waisa ho jaisay ap kay teammates ap ko revive kartay hain.”

 

 

 

Healing Heartbeat:

 

[Tabdeeli] Self-recover kartay hoye, players move kar sakte hain aur HP bhi mazeed kam nahi ho ga.

 

 

 

 

D-Bee

 

Optimized skill calculations aur behtar power.
"Pehlay, firing kay doran D-Bee ki movement speed iss baat par bohot zyada depend karti thi kay kis kisam ka hathyaar istemal kiya ja raha hai, aur iss ne Bullet Beats ki speed boost honay par kafi bura asar dala hai. Hum ne iss baat ko yakeeni bnane kay liye movement speed mein honay wali tabdeeliyon ki calculations ko behtar bnanya, iss baat se koi farq nahi parta kay hathyaar istemal mein kyu nahi hai, skill issi level ki qabliyat ko barkarar rakh sakti hai, aur battlefield mein apni power mein izafa kar sakti hai."

 

Bullet Beats:

 

Movement kay doran firing kartay waqt, movement speed 10/12/14/16/18/20% aur accuracy 20/23/27/32/38/45% barh jati hai. 
[Tabdeeli] Mukhtalif kisam kay hathyaron ka istemal kartay waqt movement speed mein izafa.

 

Character Adjustments

Mazeed mukhtalif skills combinations kay liye active skills ko tabdeel kiya hai


"Jaisay kay ap pehlay hi jantay hain, aik waqt mein sirf aik active skill ko equip kiya ja sakta hai, aur iss ki waja se players aam tor par sirf kuch makhsoos skills ka intekhab kartay hain jinhein "behtreen" samjha jata hai. Hum ne active skills ko iss umeed mein tabdeel kiya hai kay ap logon ko mukhtalif skills ka tajarba hasil karnay kay liye encourage karein aur deikhein kay wo ap kay combat kay tajarbay mein kya la sakte hain"

 

Alok

Drop The Beat
Aik 5m aura banata hai jo movement speed ko 10/11/12/13/14/15% barhata hai aur 5/6/7/8/9/10s kay liye 5 HP per second restore karta hai. Effects stack nahi kartay hain. Cooldown: 70/66/62/58/54/50s.

 

Skyler

Riptide Rhythm:

50/58/67/77/88/100m kay andar 5 Gloo Walls ko nuqsan pohanchne wali sonic wave ko agay barhata hai. Cooldown: 85/80/75/70/65/60s. Iss kay sath sath, har Gloo Wall kay deploy kay result mein HP recovery 4/5/6/7/8/9 points shuru ho gi. Recovery effects stack nahi hotay hain.

 

Steffie

Painted Refuge:

Aik 4m ka area banata hai jo throwables ko rokta hai. Area mein mojood allies har second mein 10% armor durability ko restore karein ge aur dushmanon se honay wala ammo ka nuqsan 10/12/14/16/18/20% kam ho jaye ga.10/11/12/13/14/15s tak rehta hai. Cooldown: 85/80/75/70/65/60s. Effects stack nahi kartay.

 

Chrono

Time Turner:

Aik impenetrable force field banata hai jo 800 nuqsanaat ko rokta hai. Field kay andar se bahir kay dushmanon par attack nahi kar sakta. Tamaam effects 4/4/5/5/6/6s tak rehtay hain. Cooldown: 160/150/140/130/120/110s.

 

Kenta

Swordsman’s Wrath
5m width ki frontal shield banata hai jo samne se anay walay hathyaron kay nuqsan ko 65% kam karti hai. 5s tak rehti hai aur user kay shot fire karnay par reset hoti hai. Cooldown: 120/110/100/90/80/70s.

 

Xayne

Xtreme Encounter
Aarzi tor par 120 HP hasil karti hai (waqt kay sath sath decay ho jata hai), 100/120/140/160/180/200% Gloo Walls ko pohanchne walay nuqsan mein izafa. 6S tak rehti hai. Cooldown: 150/140/130/120/110/100s.

 

Clu

Tracing Steps
Dushmanon ki positions ka pata lagati hai jo 50/55/60/65/70/75m kay andar hain aur prone ya squat position mein nahi hain. 5/6/7/8/9/10s tak rehti hai. Cooldown: 75/70/65/60/55/50s. Dushmanon ki positions teammates kay sath share ki jati hain

 

Wukong

Camouflage
Movement speed mein 10% kami kay sath bush mein badal jata hai, jo 15s tak jari rehta hai. Cooldown: 200s. Wukong kay attack karnay par transformation khatam ho jati hai. Jab Wukong dushman ko mar deta hai tou CD reset ho jati hai.


 

Misha

Driving speed boost aur nuqsan mein kami.

"Afterburner se tackle karna mushkil tha kyun kay jab iss ka user gari mein tha iss ne na sirf movement speed mein izafa kiya balke nuqsan ko bhi kam kiya, iss kay sath sath iss ne dushmanon kay liye user ko nishana bnana bhi mushkil bana diya. Lehaza, hum iss patch mein iski speed ko boost kartay hain aur nuqsan mein kami ko kum kartay hain. Insaaf ki baat hai , chapri aur wo bhi do do nahi mil sakti.”

 

Afterburner
Driving speed 2/3/4/6/8/10% barh jati hai. Gari mein, character ko target karna mushkil hai, aur honay walay nuqsan mein 5/6/8/11/15/20% kami hoti hai.

 

Nairi

Gloo Walls kay nuqsan mein izafa.

"Humare gameplay mein Gloo wall ki ehmiyat ko daikhte hoye, hum ne Ice Iron ki Gloo Walls ko pohanchne walay nuqsan ko barha kar Nairi ki competitiveness ko barhanay ka faisla kiya. Lehaza ab, mazboot defence kay sath, skill dushmanon ki Gloo Walls ko zyada nuqsan pohanchati hai. Akhirkar, hum Skyler ko Gloo Walls ki monopoly bnanae nahi de sakte, kya hum aisa kar sakte hain?"


Ice Iron
Aik bar deploy honay kay baad, Gloo Walls har 1s mein mojooda durability ko 20/22/24/26/28/30% recover karti hai. Gloo Walls par ARs istemal karnay par nuqsan mein 30/31/32/33/34/35% izafa.

 

 

Clash Squad

Map Balancing mein Tabdeeliyan

Spawn points ki locations aur cover kay layouts ko modify kiya gaya.

"Hum ne Clash Squad mode kheltay hoye kuch maps mein unbalanced win rate ko discover kiya aur issi waja se, spawn points aur covers mein tabdeeliyan ki. Match ki dono sides mein fairness lanay se, hum umeed kartay hain kay ap kay gaming kay tajarbay ko bhi behtar banaya ja sakta hai."

 

Bermuda

Nurek Dam: Aik taraf containers ki jaga ko tabdeel kiya.

 

Kalahari

Santa Catarina: Spawn points mein se aik ko thora sa horizontally move kiya takay dono sides ship se aik jaisay distance par hon.

 

Foundation: removed.

 

Alpine

Fusion: 2 spawn points ko tabdeel kiya takay dono sides elevated area se aik jaisay distance par hon.

 

Armor Upgrades

Armor ko CS Store se Lv. 3 mein upgrade karein.

"Agar ap ne kabhi apnay Lv. 2 Vest ko Lv. 3 Vest se tabdeel karnay kay liye mehnat se kamaya  hua cash zaya kiya hai to hath utahyein. Ab ap Lv. 2 Vest sirf 600 CS Cash upgrade kar sakte hain, taakay ap behtar hathyaron kay liye save kar sakein!"

 

    - Agar aik level 2 Vest ki malkiyat hai, player upgrade button ka istemal kartay hoye armor ko level 3 par upgrade kar sakta hai.

    - Helmet ko CS Store se level 3 tak upgrade kiya ja sakta hai.


 

Battle Royale

Airdrop Enhancements

Airdrops kay liye behtar visuals.

"Airdrop ki khatir apni jaan ko khatray mein dalnay kay baray mein bhool jayein sirf ye janane kay liye kay isse pehlay hi loot liya ja chuka hai ya upper se bhejay gaye gift ka intezar karna hai ye janay baghair kay ye kahan land karay ga. Hum ne Airdrops kay liye kuch visuals ko behtar banaya hai takay apko kam pareshani kay sath lootne mein madad milay."

 

    - Airdrops par optimized light beams: Jab Airdrop loot liya jata hai, tou light ghaib ho jaye gi chahe kuch cheezain baki rahein.

    - Airdrop location alert: Jab koi player pending Airdrop kay qareeb hota hai, tou uss jaga par aik signal zahir hota hai jahan Airdrop land karay ga.

    - Rare items kay sath Airdrops ko brighter light beams ka istemal kartay hoye signal diya jaye ga.

    - Unlooted Airdrops ko pulsing light beams ka istemal kartay hoye signal kiya jaye ga.

    - Minimap par Airdrop Vending Machine kay icon kay liye color indication ko tabdeel kiya.

    - Monster Trucks kay liye deleted light beams.

 

Rare Loot kay Visual Effects

Rare equipment mein mukhtalif kisam kay glowing effects hon ge.

"Hum ne rare items par glow effects ko item kay rare honay kay mutabiq kiya hai, taakay ap ko inn ko talash karnay mein asani ho, Daikhein, red glow! hum isse dibs kehtay hain!"

 

Mukhtalif rare items kay liye mukhtalif glow colors:

  • Gold: Level I ultimate weapons.
  • Gold+: Level II ultimate weapons, regular Airdrop weapons, Upgrade Chips, Lv. 4 Vest, Lv. 4 Helmet, aur FF Coin stacks (>500).
  • Red: Level III ultimate weapons aur upgraded Airdrop weapons.

 

Degar Battle Royale Mode Tabdeeliyan

  • Revival Point kay dastyaab duration ko 600s se 620s tak extend kiya gaya hai.
  • Vending Machines mein Hit List missions aur UAVs ki cost 600 se kam ho kar 400 ho gai.
  • Vending Machine mein tabdeeliyan:
    • Ab dastyaab nahi:
      • PLASMA
      • FAMAS
      • M60
      • M4A1
    • Nayi:
      • M24
      • UMP
      • M1014
      • Sniper Ammo (Sirf 1 stack)
  • Med Kits ki amount mein 15% izafa hua.
  • Ground-spawn Gloo Walls ko 10% tak kam kiya gaya.
  • VSS aur Kar98k kay ultimate versions ab ground par spawn nahi hon ge.
  • Charge Buster ab ground par spawn nahi hota hai aur ab ye Airdrops aur Airdrop Vending Machines mein dastyaab hai.
  • Airdrop Vending Machines mein majood muft hathyaar M14 aur MP5 mein tabdeel ho gaye.
  • Safe Zone se bahir tabdeel kiya gaya nuqsan:
    • 170 seconds tak Safe Zone se bahir rehnay kay baad pehlay Shrink karnay se honay wala nuqsan 3 tak barh jaye ga.
    • 270 seconds tak Safe Zone se bahir rehnay kay baad dusri martaba Shrink karnay se honay wala nuqsan 6 tak barh jaye ga.
    • Tesri martaba Shrink se honay wala nuqsan 360 seconds tak Safe Zone se bahir rehnay kay baad 4 se barh kar 12 ho jaye ga, jab kay izafay ki speed kam ho jaye gi.
    • Fourth shrink se honay wala nuqsan 20 seconds tak Safe Zone se bahir rehnay kay baad 8 se barh kar 24 ho jaye ga, jab kay izafay ki speed kam ho jaye gi.
    • Naya Safe Zone zahir honay par nuqsan uthane ka duration refresh nahi hota.

 

Weapon and Balance

Naya Hathyaar: M24

Naya hathyaar dastyaab hai.
"M24 aik light sniper rifle hai jis mein high mobility aur taiz firing rate hai, jo ap ko dour se dushmanon ko mutasir tareekay se nishana bnanay kay qabil banati hai."

 

Base Damage: 88

Rate of Fire: 0.8

Magazine: 15

 

Hathyaron ki Tabdeeliyan  

Adjusted Ultimate Weapons.

"Pichle patch mein, hum ne upgradable hathyaron ki aik bari tadaad introduce karwai, jin ki ultimate versions ne durse hathyaron ki spotlights ko churaya. Balance restore karnay kay liye, hum ne ultimate hathyaron ko boost karnay kay liye tabdeeliyan ki aur kuch dusray hathyaron ko behtar banaya takay wo umeedon par pura utrein."

 

Darj zeyl hathyaro ko tabdeel karein:

  • FAMAS: Range -10%
  • M14: Damage -3%, range -4%
  • M4A1-Z: Rate of fire -3%
  • SCAR: Armor penetration +8%
  • GROZA: Armor penetration -8%
  • VSS: Rate of fire -10%
  • UMP: kam se kam nuqsan -15%
  • Kar98K: Rate of fire -10%
  • Kar98K-I: Gun switch time 0.4 → 0.6
  • Treatment Sniper: Overheat cooling speed +8%, magazine +50%
  • AC80: Rate of fire -10%
  • M79: Damage -15%, explosion range -10%

 

 

Gameplay

Pin Function

Pin function ko istemal karnay kay tajarbay ko behtar banaya.

"Pin feature ki root ko behtar bnanay kay liye humari musalsal koshishein iss umeed se hain kay ye ap kay teamwork ka aik mushkil hisa ban jaye gi aur comms ko mazeed mutasir banane gi. Pin function optimization ka focus iss patch kay istemal mein asani lana aur visual aspects ko behtar bnana hai."

 

  • Pinned locations map par display hon gi.
  • Pins ko knocked down honay par bhi istemal kiya ja sakta hai.
  • Sab se dour kay object/player ka distance barha diya jisay pin kiya ja sakta hai.
  • Kisi item ko pin karnay kay liye loot ki list ko duba kar pakar kar rakhein.
  • Kisi item par pin ki duration uss kay teammate kay liye barh jati hai jo OK ko tap karta hai.
  • Teammates ko minimap aur team ki list mein mukhtalif colors mein mark kiya jaye ga.
  • Jab koi quick message bheja jaye ga, teammates ko team ki list mein aik icon kay zariye notify kiya jaye ga.


 

Gunshots kay liye Visual Alerts

Dushman ki location par firing ki on-screen indication.

"Kabhi ghabraye hain jab koi apko shoot kar raha ho leikin ap ko pata nahi lag raha ho kay dushman kahan hai kyu kay ap ka phone silent hai? Naya visual gunfire alert apko sahi direction ki taraf ishara karay ga takay ap baghair awaz kay bhi gaming kay mukamal tajarbay se lutf andoz ho sakein."

 

Settings kay menu par gunshots ka alert on karein takay attack karnay walay dushman ki direction screen par display ho jaye.


 

Gaming Environment

 

Cheats kay Victims kay mutabiq Tabdeeliyan

Cheat kar kay khatam kiye janay walay players kay liye rank points mein mazeed kami nahi ho gi.

"Beshak, Free Fire mein cheat karna bilkul bhi bardasht nahi kiya jata, aur jo player cheat kar kay khatam kar diye gaye hain, unn kay liye ye yakeeni tor par unfair hai kay wo game harnay kay sath sath points mein bhi kami karwaein."

 

System ko pata lagnay kay foran baad activate ho jata hai kay player ko cheat kar k khatam kar diya gaya hai.

BR-Ranked

  • Agar mojooda match se player ka score negative hai tou points mein koi bhi kami nahi ki jaye gi. (Iss case mein match score mein rozana mission mukamal karnay kay izafi 20 points shamil nahi hain.)
  • Agar mojooda match se player ka score positive hai tou results ki calculation pehlay ki tarhan hi hon gi.

CS-Ranked

  • Agar player mojooda match har jata hai tou Rank stars aur protection points mein kami nahi ki jaye gi.
  • Agar player mojooda match jeet jata hai, tou results ki calculation pehlay ki tarhan hi hon gi.


 

Character Level-Up

Memory Fragments ab Character Level-up interface se Gold kay sath khareedi ja sakte hain.

"Hum user kay tajarbay ko behtar bnanay kay tareekon par musalsal kaam kar rahay hain. Iss patch mein, hum Memory Fragments hasil karnay ka aik naya tareeka paish kar rahay hain: Inhein Gold se khareedna! Iss tarhan apko Store aur Character interface kay darmiyan level up karnay kay liye bar bar agay peechay nahi jana paray ga."

 

Jab kisi player kay pass na kafi Memory Fragments hotay hain, tou baki fragments ya Diamonds ya Gold ka istemal kar kay khareeday ja sakte hain.

20 Memory Fragments = 250 Gold.

 

 

 

Craftland

Free Fire mein Craftland Map aur Mode Editor

Craftland map-editing aur mode-editing features ab Free Fire mein dastyaab hain.

"Daikhein! Free Fire Max kay pichle khasoosi features Free Fire mein dastyaab hain. Ab ap khud apnay maps aur gameplay mechanics kar sakte hain chahay ap client ka koi bhi version istemal karein. Chahay ap Clash Squad mode kay challenge ko pura karna chahte hon ya Team Deathmatch mode kay unlimited skills kay options, ye features na khatam honay wali creative opportunities kholti hain. Ye zaroor check karein kay Craftland Free Fire mein kya paish karta hai!"

 

5/27 9:00 GMT+5 ko dastyaab hai.


 

Isle of Champs

Craftland mein naye map ki scenery.

"Ap kay bohot se designs play karnay kay baad, hum ne dariyaft kiya hai kay bohot se creators kareebi larai kay liye map kay darmiyan mein aik chotay, crowded area par larai karna pasand kartay hain. Concept ko pasand kartay hoye, humein aik naya map paish karnay par fakhar hai jo size mein chota hai. Hum umeed kartay hain kay ap iss technologically kay decorated island se lutf andoz hon ge!" 

 

Edit kartay waqt, map scenery kay tor par Isle of Champs ya Origin Land se muntakhib karein.

Origin Land kay liye 100 x 100 map size dastyaab hai.

Isle of Champs kay liye 50 x 50 map size dastyaab hai.


 

Interactive Item - Zombie Spawn

Naya zombie generator ab Craftland mein dastyaab hai.

"Hum ne suna hai kay ap log Zombie Invasion mode kay bohot baray fan hain, iss liye hum ne zombies ko Craftland kay aik element kay tor par shamil kiya. Craftland map par inn deadly creatures par nazar rakhna behtar hai!"

 

Map par Zombie Spawn rakhein.

Item darj zeyl configurations ko support karti hai:

  • Har wave kay sath zombies ki tadaad
  • Wave interval
  • Waves ki total tadaad
  • Zombies ki kisam
  • Zombie properties (HP / defense / movement speed / enemy scan distance)


 

Interactive Item - Tower

Craftland mein nayi interactive item dastyaab hai.

"Kyun kay Craftland par zombies invade hotay hain, apko apni territory ka defend karnay kay tareekay talash karna hon ge. Humein apni nayi innovation introduce karwane ki ijazat dein: Moco 1 Tower."

 

Tower ko aik bar laganay kay baad move nahi kiya ja sakta.

Item darj zeyl configurations ko support karta hai:

  • HP
  • Damage
  • Defense
  • Attack interval
  • Enemy scan distance



 

Creators kay liye User ka Tajarba

Map designs ko upload karnay aur share karnay kay tareekay ko behtar banaya

 

"Pichle versions mein, confusing interface ki waja se maps ko upload karna aur inn ko manage karna mushkil raha hai, jis ki waja se aksar player ghair iraadi actions kartay thy. Hum ne apki tajveez ko sun liya hai aur map kay design ko download karnay, upload karnay, aur share karnay ki khasoosiyat ko naye Worktable page par move kar kay map mein edit karnay kay puray amal ko reset kiya hai. Aisa karnay se, hum umeed kartay hain kay ap logon kay liye inn features ko zyada aram se  istemal karna asan ho jaye ga."

 

  • Download, upload, aur share features ko Craftland kay main page par muntakil kar diya.
  • Map Editor mein asal upload page ki entrance ko delete kar diya gaya.
  • Map share status kay liye edit slots aur share slots ko display mein merge kar diya.
  • Worktable interface shamil kiya gaya jis mein darj zeyl features hain:
    • Naya design banayein
    • Mojooda design edit karein
    • Design share karein
    • Design unshare karein
    • Design delete karein


 

Mazeed Maap kay Slots 

Muft map slots 1 se 5 tak barh gaye.

"Wahan mojood indecisive creators kay liye, hum ne mazeed muft map slots shamil kiye hain takay apko apnay naye designs ko mehfooz karnay kay liye jaga khatam honay par eenie-meenie-minie-mo istemal karnay ki zaroorat na paray."

 

  • Mojooda map ka data mutasir nahi ho ga.
  • Mojooda paid slots baki rahein ge. Patch update kay baad, unlocked slots ki total tadaad 5+N ho gi, jahan N unlocked paid slots ki tadaad hai. 


 

FF Craftmate - Beta Version

Avid creators kay liye aik powerful tool!

"Fellow map creators kay sath baat karnay ne humein ehsas dilaya hai kay mojooda Map Editor ab intehai talented minds kay liye kafi nahi hai. Lehaza, hum apnay visual-based block coding system: FF Craftmate ko deliver karnay liye purjosh hain. Yahan, hum ne Free Fire kay gameplay mein sab se choti details ko ekatha kiya aur unhein building blocks mein tabdeel kar diya jinhein mushkil tareekay se combine kar kay kuch behtreen banaya ja sakta hai. Beshak iss feature ko initially samajhna mushkil ho sakta hai, leikin humein yakeen hai kay ye ap kay liye jo possibilities laye ga wo ap ki koshishon kay qabil hai."

 

  • Map Editor mein FF Craftmate par switch karein.
  • Unique gameplay kay features aur rules design karnay kay liye blocks ko combine aur fill karein.
  • Initial stage kay doran 70+ blocks dastyaab hain.
  • 6/2 9:00 GMT+5 ko dastyaab hai.


 

Debug Tool (FF Craftmate)

Ap kay code ko test karnay kay liye FF Craftmate kay liye aik useful tool.

"Jaisay kay hum ne abhi zikar kiya hai, humara naya block coding feature mein shuru mein maharat hasil karna thora mushkil ho ga. Iss liye, hum ne Debug Tool ko bhi shamil kiya taakay, maslay ki surat mein, ap hamesha progam ko daikh lein aur errors pakar sakein. Ye tool bots kay sath ata hai jo players ki naqal karnay kay liye istemal kiya ja sakta hai, ap kay gameplay design mein har incident ko record kiya ja sakta hai, aur aik error log jo ap kay code kay masail ko track karta hai."


 

  • Debug Tool sirf FF Craftmate kay under dastyaab hai.
  • Ally ya dushman team mein bots kay izafay ko support karta hai. (Bots ki zyada se zyada tadaad= match kay liye configure kiye gaye total players ki zyada se zyada tadaad)
  • Invulnerability, HP ko restore karnay, self-eliminate karnay, aur teleport jaisay commanders ko support karta hai.
  • Tamam triggered waqiyat run info panel mein display kiye jatay hain.
  • 6/2 9:00 GMT+5 ko dastyaab hai.


 

Degar Tabdeeliyan

 

Center Optimization Download karein

Upgraded in-team aur in-room resource downloading.

"Jaisa kay hum apnay Download Center mein mazeed maps aur mode resources shamil kartay hain, hum ap kay download kay tajarbay ko behtar bnanay kay tareekay bhi musalsal talash kar rahay hain. Iss patch mein, hum ne download kay amal ko polish kiya hai jab kay player team mein ya room mein hotay hain, takay agar koi aisa resource ghaib ho tou apko maloom ho jaye ga kay ye kon hai aur inn ki download ki progress ko track kar sakte hain."

 

Optimizations

  • Report system interface kay istemal mein asani ko barhaya.
  • Guild Individual Rewards kay claim feature ko upgrade kiya.
  • Friend request list ko upgrade kar diya gaya.
  • Jab team full ho tou notification ko upgrade kiya.
  • Replay feature ab Bomb Squad Mode aur Lone Wolf Mode ko support karta hai.
  • “Settings” kay button ki location ab HUD par ab customize ki ja sakti hai.
  • Honor System ab Bomb Squad Ranked aur Lone Wolf Ranked ko support karta hai.
  • Ap ki madad karnay walay players ko automatic “Thank you”.
  • CS Store mein ap ki khareedari ki request ko pura karnay walay players ko automatic “Thank you”.
  • Automatic "Thank you" unn players kay liye jinhon ne aik item ko pin kiya jisse pehly ap ne uthaya tha.
  • Honor Score mein kami ranks kay mutabiq mukhtalif hon gi.
  • Agar teammate force quits karta hai tou izafi CS-Ranked protection points hasil karein.
  • Inn match thumbs-up design ko update kiya.

 

 

MAX Khasoosi Features

 

File ka Size aur Performance Upgrades

File kay size aur performance drains ko kam kiya gaya.

"Hum ye baat mantay hain kay Free Fire Max kay HD graphics ap ki mobile devices par burden ban sakte hain. Iss liye, hum ne iss version kay file size ko kam karnay kay liye kuch areas ko mawafik banaya aur, resolution ko compensate kiye baghair, performance mein kami ko kam kiya jis ka tajarba ap ki devices ko Free Fire Max chalanay kay doran ho sakta hai. Ab ap smooth graphics se lutf andoz ho sakte hain jo ap kay gaming ka tajarbay ko bohot behtar banatay hain."

 

  • File size kam kar diya gaya.
  • Lobby mein rehtay hoye performance drain mein kami.
  • Match khelne kay doran kharabiyon aur device kay overheat honay kay waqiyat mein kami.
  • Download Center mein darj zeyl resources ko reorganized kiya:
    • Lone Wolf
    • Events
    • Alpine
    • kuch Collections

 

Degar Craftland Optimizations

  • In-match sound effects ki output quality ko upgrade kiya.
  • Kuch characters par facial expressions shamil kiye gaye.
  • Lobby kay owner ka naam abb zahir hota hai jab team mein hon.