BACK TO LIST
19/01/2022

Pakistan, 19 January, 2022 – Garena ne aik naye crossover event ka elaan kiya hai jis ki binah pe ab Free Fire me Ubisoft ka award-winning video game series, Assassin's Creed ka content ae ga. Is crossover ke tehad, duniya ka sab se mashhoor video game ab mutahid honay wala hai duniya ke sab se mashhoor mobile game ke sath. 

 

Duniya bhar ki gaming communities me Assassin's Creed ko bohat ziyadah pasand kiya jata hai, aur Free Fire ki humesha se dilchasp content bananay ki koshish rahi hai aur is partnership ki buniyaad bhi isi strategy ke teht hai. Free Fire ke players ke liye khasoosi in-game experience le kar aya jae ga jahan Assassin's Creed franchise ke mashhoor characters Free Fire me moujood honge.

 

Yeh crossover March me aap ko game me dekhnay ko milay ga magar is ki mazeed tafseelat anay waly kuch hafton me bhi di jae gi. Free Fire x Assassin's Creed ki tamam tafseelat haasil karnay ke liye Facebook, Instagram aur YouTube ko lazmi follow karen.

 

Free Fire aur Free Fire MAX, dono Apple iOS aur Google Play Store pe download kiye ja saktay hain:

 

About Garena

Garena duniya ka aik maaroof online games developer aur publisher hai. App Annie ke mutabiq 2019 - 2020 me Free Fire duniya ka sab se ziyada downloaded game tha. 

 

Garena me kafi purjosh gamers kaam kar rahay hain jinhay is baat ki samajh hai keh game me players ko kiya cahhiye.  Garena, global partners ke hit titles ko duniya bhar ke maqsoos markets me khsoosi license aur publish bhi karta hai - jesay Arena of Valor, Call of Duty: Mobile, aur League of Legends. Garena maaher hai games ke zariye apnay gamers ko social aur entertainment experience dene me jiski wajah se Free Fire ke players game ke zariye apni communities me interact kartay hain. Garena aik leading esports organizer bhi hai aur duniya bhar me sab se baray esports events organize karanay ke liye bhi mashhoor hai.

 

Garena, Sea Limited (NYSE:SE) ka hissa hai, yeh aik duniya me leading consumer internet company hai. Garena ke sath sath Sea ke aur bhi core businesses hain, E-commerce me, Shopee aur digital financial services me SeaMoney. Sea ka mission hai keh woh consumers aur chotay businesses ko technology ke zariye behtar banae.

 

About Assassin’s Creed®

2007 me apni pehli launch ke baad se Assassin's Creed ne duniya bhar me 155 million se ziyada games bechay hain. Yeh franchise ab video game ki tareekh me best-selling series ke title se qaim hai. Industry me janay jatay hain sab se dilkash aur dilchasp stoyline ke liye, Assassin's Creed ab video games se agay barh ke ab beshumar entertainment media me bhi agay hai.

 

About Ubisoft

Ubisoft pur azam hai players ko original, memorable aur entertainment experience dene me. Ubisoft ki global team ne games ka deep or diverse porfolio taiyyar kiya hai jis me brands jesay, Assassin’s Creed®, Brawlhalla®, For Honor®, Far Cry®, Tom Clancy’s Ghost Recon®, Just Dance®, Rabbids®, Tom Clancy’s Rainbow Six®, The Crew®, Tom Clancy’s The Division®, and Watch Dogs® feature kartay hain. Ubisoft Connect ke zariye players ab apnay gaming experience iskay ecosystem se mazeed barha saktay hain, rewards le kar aur doston se har platform pe mil kar. Ubisoft+ aik subscription service hai jis ke zariye players DLC aur 100 Ubisoft games se bhi ziyada games hasil kar saktay hain. Unisoft ne 2020-2021 ke saal me,  €2,241 million ki net bookings hasil ki hain. Mazeed maloomat ke liye www.ubisoftgroup.com pe jaiye.

© 2022 Ubisoft Entertainment. All Rights Reserved. Ubisoft and the Ubisoft logo are registered trademarks in the US and/or other countries.